Saturday 18 August 2012

Poem! Tumhare Haath Pakistan, Hamare Haath Hindustan Aaya

0
Dost Bate , Dosti Bati……..
Kahin Aag Uthi , Kahin Asmat Looti……
Musalman Roya , Hindu Roya…….
Jaane Anjaane Kitno Ke Lahoo Se Humne Haath Hai Dhoya……

Aasmaan Bata , Zameen Bati…..
Kya Qyamat hai Aayi!.....Ki Charon Aur Insaniyat Kati…..
Kya Khoya , Kya Paaya……
Humne Toh Apne Aap Ko Laashon Se Ghira Paaya…..

Parvat Bata , Nadi Bati…..
Mandir Toote, Masjidein Tooti….
Kaun Aaya , Kaun Gaya…..
Bhai Ne Hi Daala Bhai Pe Maut Ka Saaya…..

Khandaan Bata, Nasal Bati……
Hukam-Ran Joothe , Siyasat Joothi…..
Tumhare Haath Pakistan, Hamare Haath Hindustan Aaya…..
Azaadi Ke Es Farmaan , Ko Aaj Humne Sabse Bada Jooth Paaya……

Kahin Aisa Na Ho, Bat Jai Hindustan
Kyunki Hamne Yahan, Assam, Gujarat, Maharashtra, Bangalore aur Chennai Paaya.
Author Image
AboutMd Mudassir Alam

Soratemplates is a blogger resources site is a provider of high quality blogger template with premium looking layout and robust design

No comments:

Post a Comment